American Visa from India : Charges , Duration and Expenses

Kisi bhi country ka Visa apply krna itna asan nhi hota , ye depend krta hai apki requirements par ki ap kis visa ko job ke liye apply kr rahe hai , permenant residential ship ke liye kr rahe hai ya phir for only travel purpose ap ek visa ko apply kr rahe hai . Countries jaise Italy , Singapore , Malaysia ka visa apko travel aur study purpose dono ke liye mil jata hai , log yaha par jydatar travel aur as a holiday destination ki tarah in countries ko visit krte hai par jab baat ati hai career build krne ki to Job applicaiton ya Job Visa kisi bhi country ka apply krna aur bhi tough hota hai kyoki jyada tar har country ke norms alag hote hai aur wo strict policy ko follow krte hai . Agar United States jaisi country ki baat kare to ye World k developed nations me count hota hai aur is country me work visa par ana ya is country me education lena bhot costly hai aur rewarding bhi hai kyoki US hi ek aisa desh hai jis me apko sabse jyada job oppurtunities aur growth prospects mil jate hai .

american visa from india , india visa application , italy visa from india , passport apply online america

Is post me apko btaya hai ki kaise ap American Visa from India ke liye apply kr skte hai aur kya wo procedure aur expenses rahenge jo apko India me follow krke pure karne hai jis se apko jald se jald United States ka Visa mil jaega .

America : Essential Concerns and Attractions

America ko jana jata hai World ke top tourist places ki wajah se . Jaise hi new year ya koi b new festival ata hai ya koi new married couple hota hai use ek aisa tourist place hi pasand ata hai jaha kam se kam samay me wo multiple tourist attractions par ja sake or apne life moments ko aur b bdia bana sake . USA me apko dekhne ke liye New York jo ki centre of attraction hai USA ka wo dekhne ko milta hai , uske bad agar ap ek fun traveller hai to apko Francisco bhi travel krna chahiye jaha ap bhot bada aur vishal golden bridge dekhne ko milta hai . America Visa from India apply krne ka apko bhot bada fayda ye hai ki ap kisi aur country se USA Visa apply krte hai to apko bhot se formalities puri krni padegi lekin India ke liye USA Visa ki policy bhot hi simplified hai .

USA ke kuch centre of attractions ye hai :

  1. Grand Canyon
  2. City of Houston
  3. Las Vegas : Centre of Games
  4. Wakiki
  5. Washington DC : Place of President Residence
  6. Miami
  7. Los Angeles

Ap apne tourist package me ya travel package me chahe ap wo kisi bhi company se lete hai in places ko jarur ad karae jis se apka travelling experience aur b better ho jaega.

American Visa from India : Cost and Eligibility

America apke US Waiver program me kuch countries ko enroll krta hai jisme us country ko visa apply krne ki facility aur b simplified ho jati hai aur us country ko kuch special priveleges milte hai to enter US. But for India , kyoki India US ke waiver program me nhi include hota to har Indian ko special visa ke liye apply krna padta hai USA me jane ke liye . USA Visa application , American visa from India , ki application krna itna asan nhi hota aur agar visa approval yua processing me chala bhi jae to ye guarentee nhi hoti ki USA me us person ki entry hogi hi .

USA me enter krne ke liye kuch special type ke VISA apply krne pdte hai jaise :

  1. Immigrant Visa
  2. Non immigrant Visa
  3. Business Visa
  4. US Tourist Visa
  5. US STudent Visa
  6. US Work Visa
  7. US Exchange Visitor Visa
  8. US Journalist Visa

In sabhi USA Visa applications , ya American Visa from India ki cost alag alag hoti hai aur in ki policies bhi as per eligibility of the person or the applicant depend krti hai . Agar USA Visa ki cost ki baat kare to wo depend krti hai the type of visa ki applicant ne konsa visa apply kra hai . For instance for B Visa cost is 160 USD , for D Visa cost is 160 , for C-1 Visa cost is 160 usd and so on.

American Visa from India : Documentation and Visa Application 

America Visa from India direct apply krne ke liye kuch basic necessities aur documentation bhi fulfil krni padti hai jisme apki basic education bhi matter krti hai . Jaise agar ap education visa par bahar jana chahte hai to ap basic high level education ke liye USA Education visa apply karenge to apko kuch special documents embassy me jama karane honge aur apke pas proper funds apke bank account me hona chahiye as specified by the embassy. Basic documents jo American Visa from India apply krne ke liye chahiy wo hai :

  1. Valid Passport
  2. DS -260 Forms duly filled and attested
  3. Printout of Online appointment made on the Visa website
  4. Photograph (passport size)
  5. Medical examination report
  6. Old passport if any
  7. PCC Certificate from Regional passport office
  8. Financial Statements
  9. KYC Documents
  10. Flight Tickets or refernce of travel if any

Visa apply krne ke liye sabse phle sabhi documents ko ek file me close krke embassy me submit krane hai , or online visa ki site par apni application phle dal deni hai taki embassy visit ke liye appointment confirmation mil sake . Agar apko form ko submit krne me ya choose krne me problem arahi hai to ek travel consultant ki help jarur le le.

Hope , you find this detailed post on American Visa from India application informative and interesting . If you have any queries related to American Study Visa application from India , American travel visa from India , US Visa eligibility, you can place your feedback comments down in the comment section below.

Leave a Comment