Income Tax File krne se Phle Annual Information Statement AIS dekhna kyo hai jruri ?

Income tax file krna bhut jruri hai kyoki agar apki ek saal me acchi income ho jati hai jo ki sarkar ke tax slab ke according taxable hai to apko us par tax dena chahiye . Abhi Income tax rules ke according agar ap ek Individual hai – jisme ap koi business krte hai jaise kiryana store , machine store ya apka koi bada business hai ya apka koi business nahi hai aur apki income multiple sources se ati hai jaise FDs , Saving Interest aur Commission etc to apko sab total karke apni Income par Income tax file krna chahiye. ‘

Income tax rules ke hisab se agar apki Income 2.5 lakh se jyada hai to apko ITR file karna mandatory yani jruri hai . ITR file krne ke liye ap khud se ya ap kisi Chartered Accountant ki madad le skte hai . Advice yahi rhti hai ki aap ek CA ki madad lekar hi ITR file kare . Income tax Return file krne se phle apko ek nayi chiz ka bhi dhyan rakhna hai jiska nam hai Annual Information Statement .

Is Article me apko AIS (Annual Information Statement ) ke baare me clear btaya gaya hai aur ye bhi btaya gaya hai ki aap kaise AIS se apni Income tax return ko match kr skte hai .

Income tax filling kab tak karni hai ?

Bandhan krne ke liye ya Paise Kamane ke liye Form Bharo

Har saal Income tax file krne ki ek due date hoti hai jisme Income tax pichle financial year ke liye bhara jata hai . Financial year hota hai 1 April se 31 March tak . To baat kare nearest financial year ki toh FY 2021-22 Income tax return apko due date 31st July tak file karni hai .

Agar ap iske bad Income tax return file krte hai to apko Rs 10000 ki penalty pay krke return ko file krna hoga.

Income tax filling 2022 khud kr skte hai ya nahi ?

Income tax return filling ek professional ka kam hai aur agar aap ise khud se file krne ke ki koshish krte hai to apko kuch problems ka samna karna pad skta hai . Sbse phle to agar ap return me kuch galat values dal dete ho to apko mismatch hone ki wajah se government se notice bhi asakta hai aur agar ap kuch income show krna bhul jate hai ya galat likhte hai to uske liye apko penalty bhi pay krni pd skti hai .

Income tax filling me AIS kya hai ?

Income Tax Return file krne ke liye naya portal launch krne ke bad ITR ko aur bhi simplify krne ke liye government ne ek new option launch kia jiska nam hai AIS – Annual Information Statement . Is statement me apka PAN aur Aadhaar jis bhi bank account me linked hai aur ap jo transaction jaise investment in securities , demat transactions aur sale or purchase of property krte hai to apko AIS me wo sab transactions show ho jati hai .

Government ka is statement se kehna hai ki apki asani ke liye ap in transactions ke according aur apni real income ko dalte hue apni ITR file kr skte hai. Is statement ko download krne ke liye is process ko follow kare :

  1. Income tax portal par login kare .
  2. Login krne ke bad > Downloads > AIS or Is AIS Statement Download Link par ja skte hai .
  3. Iske bad apko AIS aur TPS dono statement download karni hai .
  4. AIS ka password hoga – PANDOB (AAAAAAAAA16101990) – yani apka PAN aur apki date of birth .

Annual Information statement ka ITR se matching kaise kare ?

AIS download krne ke bad apko usme se sab transactions match krni hai jaise property sale and purchase , investment in securities , Demat Holdings , FD interest , PPF interest , Saving Interest etc . In sab transactions ko apko apni bank statement se milakar Income tax ke particulars me file krna hai .

Acche se matching krne ke liye ap ek Computation and Balance Sheet bhi bana skte hai excel format me . AIS se matching krne ke liye ap Income tax portal se AIS Statement download krke use khol kar usme show ki gayi sab values ko apne bank balance aur apni sabhi transaction se match kr skte hai . Match krne ke bad hi apni ITR filing kare jis se apko asani hogi .

Must Read : Factory Insurance Kaise Le – Commercial Insurance Application for Business

Income tax file krne ke bad kya krna chahiye ?

Income Tax Return AIS se match krke apko file kr dena hai . File krne ke bad apko use online verify krna hai . Online verify krne ke liye apko Income Tax portal par login krna hai . Login krne ke bad usme ” E-Verify Return ” par click krke apna Aadhaar Number match krna hai . Uske bad apke Aadhaar Number par OTP bheja jaega jise apko dal dena hai .

OTP verify hone ke bad apki return processing me chali jaegi aur apki ITR Filing complete ho jaegi . Agar ap Online Income tax return filing me kuch help lena chahte hai to ap hame niche comment section me comment karke bta skte hai .

Leave a Comment