Agar ap ek travel vlogger hai ya apko travel krna bhot pasand hai to ap jarur ek aisi country me jana chahenge jaha apko romantic vibes ae ya phir ap apni second half ya apni family ke sath visit kr ske . Mother earth ne hame bhot aisi destinations di hai jaha ham ache se apni life ka imporatant time spend krke use aur bhi acha samay bana skte hai aur use apne ane wali generations ke liye memorable bana skte hai . Kuch travel vloggers ka ye sapna hota hai ki vo kuch aisi cities ya places jarur visit kr ske jise wo apne viewers ko btae ki unke viewers bhi apni wife ya apni gf ke sath visit kare aur apne life ke har moment ko aur memorable bnae . Aisi hi ek dream destination hai Italy jise ek romantic country ke nam se bhi jana jata hai jaha unlimited tourist aur romantic destinations hai . Sath hi Italy ek aisi country bhi hai jaha ap kuch unique festivals aur rituaals bhi apko dekhne ko milte hai jaise tomatino festival etc.
Agar ap newly married ha ya ap ek travel vlogger hai aur ek achi destination dhund rahe hai apne life moments aur b special banane ke liye , to is post ko dhyan se padhiye , is post me apko Italy Visa from India ke baare me clear btaya gaya hai .
Italy : Specialty about the Places
Italy kuch aise places me se hai jaha par ap lesure ya romantic travel ke liye jana pasand karenge . Kisi bhi country me travel krne se phle ap waha ki History , food , culture aur art ke baare me research jarur kare taki ap jis b place ko visit krne ja rahe hai waha par apko ek fruitful experience mile . Italy in the World ek aisa space hai jaha par apko mountain ranges se lekar , summer climate se lekar magnificiant nature dekhne ka moka milta hai . Itale me agar ap education ya phir for business or job ke purpose travel krne ki soch rahe hai to mostly Indians is plan se dur rehte hai kyoki Italy ek aisa place hai jaha par apko business culture kam aur tourism for special places jyada milega . Agar ap ITALY jana chahte hai to apko sbse phle online italy visa from India apply krna hoga.
Italy me waise to ap travel purpose ke liye ya festival visit ke liye jana chahte hai to apko kuch special places italy me jarur jana chahie . Kuch special destinations jo italy ko aur b akarshak bnati hai wo hai :
- Rome
- Florence
- Venice
- Tuscan Hill town jaha apko attractive Hills dekhne ko milenge
- Milan for architecture spots
- Lake Como for best climatic experience
- Amalfi Coast and Cafri for Seaside experience
- Cinque Terre for Lake side building experience
- Pissa and Luca for Tilted Building watch and nature beauty visit
- Verona for Boating in Cool summer climate
Italy ko basically ek best travel spot kaha ja skta hai jise ap kisi bhi ocassion ya special moments ko bnane ke liye visit kr skte hai . Waise to Italy Visa from India apply krna bhot asan hai agar ap leisure travel ke liye apply krte hai lekin agar pa education ya job purpose ke liye apply krte hai to apko kuch specific eligibility criteria ko pura krna pdta hai .
Italy Visa from India : Documents and Eligibility
Italy ke visa ki application ki cost aur eligibility depend krti hai ki ap kis purpose ke liye , kitne time ke liye aur kitne logo ke sath Italy visit krna chahte hai . Italy me for tourist visit purpose ek special Schegan Visa diya hai jo ki italy me 90 days tk stay krne ki permission deta hai . Agar ap is basic Schegan Visa ko apply krna chahte hai to apko basic italy embassy in India me lagbhag 80 Euro ki fees pay krni hoti hai jisme ki agar ap minor ko b lejana chahte hai to apko minor ki bhi 40 Euro travel aur visa fees deni padti hai.
Italy Visa from India apply krne ke liye eligibility tab change ho jati hai jab ap kisi education center me for study purpose or for medical emergency purpose or for Job purpose visa ke liye apply krte hai . Isme apply krne ke liye apko India government approved passport , job letter , education center admission letter , financial documents aur apki bank statement aur apka criminal record italy ki Indian embassy me submit krwana hota hai . Agar basic documentation ki baat ki jaye to apko basic documents ye chahiye :
- Legal Proof of Residence in India
- Travel and Medical Insurance from India
- Marriage Certification if any
- KYC Document
- Passport
- Passport Size Photos
- Financial Documents
- Bank statement for last six months
- Education institute no objection certification
- Job letter for Jobs
In sab documents ko apko as per your agent ek file me submit krna hoga ya ap directly bhi online ITaly tourism ya Italy embassy ki website pe apply krne ke liye dal skte hai .
Italy Visa from India : Application and Cost
Italy ne specially for all Indians around the World ek special organisation ko ye rights issue kiye hai jo sabki visa application ki accept and approval denge jiska nam hai VFSGlobal . Ye organisation visa approval krke Visa embassy ko forward krti hai jisme apke sabhi documents enclosed hote hai .
VFS Global ka center apko India me kahi bhi mil jaega jaise Mumbai , Delhi , Jalandar etc aur har application ko process hone me kam se kam 15 se 60 din ka samay lg jata hai . Agar ap Italy me study krne ke liye plan kr rahe hai to apko ek special national permit apply krna hoga jisme apko apne plans embassy ko clear krne hote hai Italy Visa from India apply krne ke . Agar ap highly skilled hai to ap other than above said Visa cost kuch additional embassy ki cost dekar aur organisation ka approval letter lekar apne period extension ke liye b dal sakte hai .
Hope , apko ye post useful aur informative lagi hogi . Is post me apko Italy travel krne ke liye Visa application , uski fees aur uska pura process ke baare me btyaa gaya hai . Agar ap Italy Travel destination book karne , ya ITALY visa ko apply krne ka process jan na chahte hai to ap hame niche comment section me bata skte hai.