Indian rituals ke hisab se Kundli ko kisi bhi jruri kam ke liye bahut shubh mana jata hai . Agar important date yaha tak ki Shaadi ka muhurat bhi Kundli se hi dekha jata hai . Kundli ko sidhe sabdo me samjhe toh har insaan ke janam hone par kisi bhi vidhwan se uski ek Kundli banwai jati hai jis par ye likha jata hai ki samay aur planets ki movement ke hisab se uska kya nam hona chahiye aur kis tarike ke greh dosh or positive moments us insaan ki life me aane wale hai .
Kundli ke data se ya bhi pata lagaya ja skta hai ki kisi vyakti ki shaadi kab hogi aur kya aisi problems hai jiski wajah se us vyakti ki abhi tak shaadi nahi ho pa rahi hai .
Shaadi ke liye Kundlion ka milna jruri hai aur uske liye apke pas apni kundli hona jruri hai . Phle ke samay me sabhi log vidhwano ki madad se apni Kundli ko banwa liya krte the jinko nakshatro ki knowledge hoti thi .
Samay ke sath is kam ko digital kr diya gaya or bahut saare online softwares aane lage jis se ap turant apni Kundli bana skte hai . Jisme jruri hai ki apko apni date of birth , birth timings or birth place pata ho .
Shaadi ke liye kundli kyo jruri hai, ap apni kundli kaise banwa skte hai aur Shaadi ke liye online kundli kaise check kare ye sab apko is article me btaya gaya hai .
Online Kundli Rashi kitne tarah ki hoti hai apki Rashi kaise check kare ?
Kisi bhi vyakti ke janam hone ke bad uski ek Kundli banayi jati hai . Is Kundli ko banane or pdne ke liye us insaan ki jrurat hoti hai jise Kundli pdne ki knowledge ho. Kundli me btaya jata hai ki nakshatro ke hisab se apka kya nam hona chahiye aur apke liye zinddagi me kaise log acche rahenge or ap kaise apni zindagi me sudhar lekar a skte hai .
Kundli me sbse jruri hota hai ki apko apni Rashi ka ptaa lagana jis se apko ye pata chal sake ki jis se ap Shaadi krne ja rahe hai uski Rashi apse kaise milegi .
Kundli me apko in ye dekhna hai ki inme se apki rashi kon si hai :
- Mesh Rashi . (अक्षर: चू,चे,चो,ला,ली,लू,ले,लो,अ )
- Vrishab Rashi . (नाम अक्षर: ई,उ,ए,ओ,वा,वी,वू,वे,वो)
- Mithun Rashi (नाम अक्षर: क,की,कु,घ,ड,छ,के,को,ह
- Kark Rashi (नाम अक्षर: हि,हु,हे,हो,डा,डी,डू,डे,डो)
- Singh Rashi (नाम अक्षर: मा,मी,मू,में,मो,टा,टी,टू,टे)
- Kanya Rashi (नाम अक्षर: टो,पा,पी,पू,ष,ण,ठ,पे,पो)
- Tula Rashi (नाम अक्षर: रा,री,रु,रे,रो,ता,ती,तू,ते)
- Dhanu Rashi (नाम अक्षर: ये,यो,भा,भी,भू,धा,फ,ढ,भे)
- Makr Rashi (नाम अक्षर: भो,ज,जा,जी,जे,जो,खा,खी,खु,खे,खो,गा,गी,ज्ञ)
- Kumbh Rashi (नाम अक्षर: गु,गे,गो,सा,सी,सु,से,सो,दा)
- Meen Rashi (नाम अक्षर: दी,दू,थ,झ,दे,दो,चा,चि)
In Rashi me apni Kundli me check krke kisi bhi Vidhwan se check krwa skte hai ya ap apni Shaadi ke liye wahi partner dhund skte hai jiski ap se same Rashi ho .
Also read : Free Shaadi ke Liye Personal Loan Kaise Milega Online Shaadi Marriage Loan Apply Karo
Online Kundli me kon kon se Greh hote hai ?
Kehte hai agar apki life me kuch bhi problem hai ya agar ko funds ko lekar koi bhi problem ati hai to iska main reason hota hai ki ap apne Greh ke hisab se nahi chal rahe hai . Kundli me apko greh nakshatra ke baare me bhi jankari milti hai jis se apko apne Greh ke baare me pata laga lena chahiye .
Shaadi krne ke liye apko apne Greh ko apne partner se milwana jruri hai . Agar ap ke pas apni Kundli hai to ap usme apne in graho ko check kr skte hai :
- Surya Greh
- Chandra Greh
- Mangal Greh
- Budh Greh
- Bhihaspatiwar Greh
- Shukr Greh
- Shani Greh
- Raahu Greh
- Ketu Greh
Ap apni Shaadi ki date se lekar sabhi decisions in Greh ke hisab se hi len taki apko life me kabhi bhi koi problem na aaye .
Also read : Online Shaadi ke liye Biodata kaise Bnaye aur Kaha par Daale – Matrimony BioData Education
Online Kundi Kaise check kr skte hai ?
Computer par Kundli Check krne ke liye bahut saare Softwares hai lekin apko un Softwares me Kundli dekhne ke Graho or numberology ko padhna ana chahiye . Lekin online apko kuch aisi websites mil jati hai jaha par ap apni kuch details dalkar Kundli Generate kr skte hai .
Online Kundli generate krne ke bad ap use kisi bhi Vidhwan se use check krwa skte hai aur mana gaya hai ki online bnayi gyi Kundli utni hi genuine hoti hai jitni ap apne nearby kisi temple me banwate hai .
Online Kundli banane ke liye ap is process ko follow kare :
- Online Kundli Generate Websitepar jaaye .
- Website par ” Free Kundli ” par click kare .
- Diye gaye form ko thik se bhaare .
- Submit par Click kare .
- Uske bad Generate ki hui Kundli ko ap PDF or Print kr skte hai.
Dhyaan rahe ap apni Kundli ko kisi Vidhwan ko jrur dikhaaye taki apko apne Greh or Rashi ko lekar ek confirmation mil sake . Kyoki agar ap galat kundli se Shaadi krne ki koshish krte hai to dekha gaya hai wo Shaadi jyada smay tak chal nahi pati .
Also read : Free Shaadi ke liye Personality Development Kaise Kare aur Online Kaise Apni Presence Badhaaye
Mobile se apni Janam Kundli kaise banaye ?
Kisi bhi Garib vyakti ya mahial ke liye ye asan nahi hota ki wo kisi Vidhwan ke pas paise dekar apni Kundli banwa sake ya kisi Shaadi Agency ke pas apni shaadi ke liye apply kr ske . Aise me sbse accha option unke liye hota hai ki wp apne mobile ki madad se hi apne liye acche rishte dekh sake aur apni kundli apne mobile par hi bana len .
Technology me changes aane ke bad bahut sare aise applications achuke hai jis se ap within minutes apni Kundli bana skte hai .
Agar ap apne mobile se Shaadi ke liye Kundli banana chahte hai to ap is process ko follow kare :
- Sbse phle Apne mobile ke Google Play Store se AstroSage Application ko download kare .
- Application download krne ke bad isme ap Language ko select kare – English or Hindi .
- Is application apko apna ek account banana hoga jo ap apne mobile number se bana skte hai .
- Uske bad ap Home Page me > Kundli Option par jaaye .
- Apko ek form dikhayi dega jisme apko apna nam , date of birth , birth timings or birth location jaisi sab details enter krni hai .
- Submit par click karne ke bad apki Kundli generate ho jaegi jise ap apne mobile me PDF me ya kisi or document format me download kr skte hai .
Also read : Online Shaadi ke liye Ldki Search Krne ke 5 Tarike
Janam Kundli ke Anusar Shaadi krne ke kya benefits hai ?
Kaha jata hai ki bina kundli ke milan ke agar ap Shaadi ke liye partner dekhte hai to apki shaadi jyada samay tak nahi chal pati hai . Agar ap Kundli ban wa lete hai ya online bana lete hai ot apko apni kundli me ye check krna chaiye ki – Shani aur Guru jab apki Kundli me Saptam Bhav me lagna ko dekhte hai tab ap ke liye Shaadi ke liye sahi yog banta hai .
Isme apko check krna hai ki Saptamesh ki mahadasha aur antradasha aur shukr 0r guru ki mahadasha or antradasha ke milne se Shaadi ka yog bnata hai . Agar ap Kundli ke hisab se Shaadi ke yog ko check krte hai aur Greh milane ke bad hi Shaadi krte hai to isme apki Shaadi chalne ke chances or bhi bad jate hai .
Isme ye dekha jata hai apki apke partner ke sath kaisi compatibility hogi to Kundli se apko aane wale samay me apke relations ke baare me bhi pata chl jata hai .
Agar ap Online Shaadi ke liye apni Kundli banwana chahte hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai .